January 31, 2007

frndz forever













Yes that is me with my frds....
it was Vasudha's (frst frm right) brother's shaadi.... and we were invited for a lot ofc dancing and merry making :)
and we did dat too.. explains why we all look as if we are standing in the middle of nowhere staring at the camera :D

loved the time :)

Love
Pragnya

October 30, 2006

Happy Diwali!

Been a while since I last posted something here...
What better than pictures...
These were taken by me on Diwali this year...

Ram Darbar...


Soon after the pooja.

Rangoli-- Courtesy Prachi...
Picture-- Courtesy Urs Truly
Prachi-- busy with preparations for the big night!


After all the hard work, time for some masti... :)


Amma and Prachi... love ya both!
Considering that the pictures were clicked on a 1.3 mp mobile phone camera.... they came out well...
HAPPY DIWALI!

October 29, 2006

Jag Ja…


jag ja ri gudiya
misri ki pudiya
meethe lage do naina
nainon mein tere,
hum hi base the
hum hi base hain,
hain na.

o ri raani, gudiyaaaa,
jag jaa, arii jag ja, mari jag ja.

halka sa kosa,
subho ka bosa,
maan jaa ri,
ab jaag ja.
naak pe tere,
kaatega bicchoo
jaag ja, tu maan ja
jo chahe le lo,
dashrath ka vaada
nainon se kholo ji raina

o ri raani, gudiyaaaa,
jag jaa, arii jag ja, mui jag ja.

kirnon ka sona,
os ke moti,
motiyon sa mogra.
tera bichauna,
bhar bhar ke daroon,
gulmohar ka tokra.
aur jo bhi chaho,
maango ji maango,
bolo ji, meri maina.

o ri raani, gudiyaaaa,
jag jaa, arii jag ja, oye jag ja.

jag ja ri gudiya..

Ajnabi


Ajnabi shehar hai
Ajnabi shaam hai
Zindagi ajnabi
kya tera naam hai...

Ajeeb hai ye zindagi, ye zindagi ajeeb hai
Ye milti hai bichhadti hai
Bichhadke phir se milti hai...

Ajnabi shehar hai
Ajnabi shaam hai...

Aap ke bagair bhi humein, meethi lagein udasiyaan
Kya, ye aap kaa... aap kaa kamaal hai
Shayed aapko khabar nahi
Hil rahi hai paaon ki zameen...
Kya, ye aap ka... aap kaa kheyaal hai

Ajnabi shehar mein
Zindagi mil gayi...

Ajeeb hai ye zindagi ye zindagi ajeeb hai
Main samjha tha kareeb hai
Ye auron ka naseeb hai...


Ajnabi shehar hai
Ajnabi shaam hai

Baat hai ye ek raat ki, aap badalon pe letey they,
hmm woh yaad hai, aapne bulaya tha
Sardi lag rahi thi aapko, patli chandi lapetey they,
aur shaan mein khowaab ke sulaya tha

Ajnabi thi sahi saans mein silgayi
Ajeeb hai ye zindagi
Ye zindagi ajeeb hai

Meri nahi ye zindagi rakeeb ka naseeb hai...

August 08, 2006

Tanha


Koi ye kaise bataae ke vo tanhaa kyun hai?
voh jo apana tha kabhi aur kisi ka kyun hai?
yahii duniya hai to phir aisi ye duniya kyun hai?
yahii hota hai to aakhir yahii hota kyun hai?

Ik zaraa haath badhaa de to pakad le daaman
usake seene mein samaa jaye hamaarii dhadkan
itani kurbat hai to phir faasla itnaa kyun hai?

Dil-e-barbaad se niklaa nahin ab tak koii
ik lutey ghar pe diyaa kartaa hai dastak koii
aas jo toot gayi phir se bandhaataa kyun hai?

Tum masarrat ka kaho ya ise gam ka rishtaa
kahate hain pyaar ka rishtaa hai janam ka rishtaa
hai janam ka jo ye rishtaa to badaltaa kyun hai?