Koi ye kaise bataae ke vo tanhaa kyun hai?
voh jo apana tha kabhi aur kisi ka kyun hai?
yahii duniya hai to phir aisi ye duniya kyun hai?
yahii hota hai to aakhir yahii hota kyun hai?
Ik zaraa haath badhaa de to pakad le daaman
usake seene mein samaa jaye hamaarii dhadkan
itani kurbat hai to phir faasla itnaa kyun hai?
Dil-e-barbaad se niklaa nahin ab tak koii
ik lutey ghar pe diyaa kartaa hai dastak koii
aas jo toot gayi phir se bandhaataa kyun hai?
Tum masarrat ka kaho ya ise gam ka rishtaa
kahate hain pyaar ka rishtaa hai janam ka rishtaa
hai janam ka jo ye rishtaa to badaltaa kyun hai?